Sunday, September 13, 2009

Aasha ya Nirasha

Ek Aasha thi, Ek nirasha thi,
dono ki apni ek paribhsha thi,
Kuch swapn hosle bulandia thi,
Kuch nishkarm parajit kahania thi.

Dono juda the lekin khafa n the,
kyoki unke sahi juda n the,
har modh par nirasha mein aasha bhi thi
Par har pal aasha mein nirasha aai thi.

Dono is tarah kuch apne bane
Har modh mein khafile mein naye ang saje,
kuch aapne the the kuch paraye bane
kintu wah to apne hi abhi praye bane.

Par jindagi se is tarah n darr mere yaar
swapno mein aasha k deepak jala
nirasha ki jyoti se andhkar bhaga
paaoge lakshye agle modh pe khada.

To maan le baat, le le prand
aasha nirasha har dum rhe sang
fark to nazariye ka hai mere dost
to bana le ise apne jeevan ka abhinn anng....


Be positive yaar!!!!!!!!!!!

No comments:

Post a Comment